qalaq aa gaya iztirab aa gaya ye dil kya gaya ek azab aa gaya lifafe mein purze mere khat ke hain mere khat ka aakhir jawab aa gaya idhar badhte badhte badha dast-e-shauq udhar aate aate hijab aa gaya kaha us ne dekha jo dar par mujhe kahan se ye khana-kharab aa gaya jabin pur-shikan hai nigah shoala-rez ye kaun aaj zer-e-itab aa gaya sikandar nasibe ka hai wo faqir tere dar se jo kaamyab aa gaya ye aalam hua tabish-e-husn se sawa neze par aaftab aa gaya hue hi the aamada tauba pe hum ki gardish mein jam-e-sharab aa gaya hui qail-e-jalwa-e-tur khalq sar-e-baam wo be-naqab aa gaya ye kya kam hai ai shaikh mai ka jawaz wo kabe se uth kar sahab aa gaya uthae gae bazm se bul-hawas unhen shewa-e-intikhab aa gaya adu sath rahne lage ai 'wafa' gahan mein mera aaftab aa gaya