soch ki uljhi hui jhadi ki jaanib jo gai aas ki rangin titli khun ka chhinta ho gai us ki khushbu thi meri aawaz thi kya chiz thi jo daricha tod kar nikli faza mein kho gai aakhir-e-shab dur kohsaron se barfani hawa shahr mein aai mere kamre mein aa kar so gai chand chhilkon aur ek budhi bhikaran ke siwa rail-gadi aakhiri manzil pe khali ho gai is qadar mela na tha jis par kisi ka nam tha phir bhi 'aslam' aankh chhalki aur kaghaz dho gai