chalti rahi us kuche mein talwar hamesha lashe hi nikalte rahe do-chaar hamesha gil khulte rahen chahchahe karta rahe bulbul ya-rab rahe aabaad ye gulzar hamesha hum rind hue shahid-e-maqsud se wasil jhagde mein rahe kafir o din-dar hamesha yan tukhm-e-tamanna se uga karta hai lala gul khate hain har fasl mein do-chaar hamesha tadpa karen kuche mein tere saikdon kushte rangin rahe khun se teri talwar hamesha diwane hain mail hon agar hur-o-pari ke jo dekh rahe hun tera didar hamesha mujh tishna-e-didar ko kis roz chhakaya pyasa hi raha khun ka wo khunkhar hamesha mushtaqon ne tere na liya kaudiyon ke mol bikta raha yusuf sar-e-bazar hamesha hai zulf-e-musalsal teri ya dam-e-bala hai ho rahte hain do-chaar giraftar hamesha kyun-kar tu masiha hua mashhur jahan mein marte hain tere hath se bimar hamesha hangame nae roz hua karte hain barpa fitne hi uthati hai wo raftar hamesha ai 'rind' junun mein bhi na sahra ko gae hum khaya kiye patthar sar-e-bazar hamesha