soch mein gum be-karan pahnaiyan ishq hai aur hijr ki tanhaiyan raat kahti hai ki katne ki nahin dard kahta hai karam-farmaiyan bain karti hai darichon mein hawa raqs karti hain siyah parchhaiyan khamushi jaise koi aah-e-tawil siskiyan leti hui tanhaiyan kaun tu hai kaun main kaisi wafa hasil-e-hasti hain kuchh ruswaiyan yaad se teri sukun yun aa gaya subh dam jaise chalen purwaiyan