yun dekh mere dida-e-pur-ab ki gardish dariya mein ho jis tarah se girdab ki gardish marta hun tere waste rota hun zi-bas yar hai sail meri chashm mein girdab ki gardish phir jati hain is tarah se ek pal mein wo ankhiyan jun bazm mein ho jam-e-mai-e-nab ki gardish az-bas-ki hai aankhon mein khumar us ghadi saqi mai mange hai tujh se jo har ahbab ki gardish go khak hua to bhi phira ban ke bagula ho kar na gai aashiq-e-betab ki gardish jins-e-khirad-o-sabr bin is dil ko ho kya chain muflis ko buri hoti hai asbab ki gardish dil zulf-o-rukh-e-yar mein 'sauda' na phire kyun khush aae hai us ko shab-e-mahtab ki gardish