socha nahin achchha bura dekha suna kuchh bhi nahin

socha nahin achchha bura dekha suna kuchh bhi nahin
manga khuda se raat din tere siwa kuchh bhi nahin

socha tujhe dekha tujhe chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuchh bhi nahin

jis par hamari aankh ne moti bichhae raat bhar
bheja wahi kaghaz use hum ne likha kuchh bhi nahin

ek sham ke sae tale baithe rahe wo der tak
aankhon se ki baaten bahut munh se kaha kuchh bhi nahin

ehsas ki khushbu kahan aawaz ke jugnu kahan
khamosh yaadon ke siwa ghar mein raha kuchh bhi nahin

do-chaar din ki baat hai dil khak mein mil jaega
jab aag par kaghaz rakha baqi bacha kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close