sochiye gar use har nafas maut hai kuchh mudawa bhi ho be-hisi ke liye

sochiye gar use har nafas maut hai kuchh mudawa bhi ho be-hisi ke liye
surajon ki wirasat mili thi hamein dar-ba-dar ho gae raushni ke liye

koi aawaz hai wo koi saz hai us se hi rang-o-nikhat ka dar baz hai
jis taraf ho nazar wo rahe jalwa-gar kaise sochenge hum phir kisi ke liye

bad-dimaghi meri hai wahi jo ki thi tarz-e-khud-bin tumhaara wo hai jo ki tha
chal rahe hain ana ke sahaare magar rasta hi nahin wapsi ke liye

ho salamat mera ishq josh-e-junun husn ke raaz khud munkashif ho gae
itni mushkil nahin rahguzar-e-fana be-khudi chahiye aagahi ke liye

is zamane se koi tawaqqo na rakh kis mein himmat hai khanjar pe rakh de zaban
adl-gahon mein insaf bikne laga sach bhi kahna hai jurm aadmi ke liye

tum se ek ghunt ki pyas kya bujh saki jab ki wabastagi to samundar se thi
hum ne dariyaon tak ka safar tai kiya apne be-mani si tishnagi ke liye

aadmi ki hawas ka thikana nahin lekin 'anjum' khuda se yahi mangna
ek wafadar biwi ho bachche hon ghar aur kya chahiye zindagi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close