tum le ke apne hath mein khanjar na dekhna aur dekhna to tan pe mere sar na dekhna dushman bhi mere sath hi aata hai bazm mein tum ko qasam hai aankh utha kar na dekhna gar dekhte nahin ho nadamat se jaur ki tum ab to dekh lo dam-e-mahshar na dekhna dil par rahegi naqsh ye be-mehriyan teri jaana aur is tarah se ki mud kar na dekhna 'mail' jo tauba karte ho kaisa hi abr ho phir aankh utha ke shisha-o-saghar na dekhna