sochiye garmi-e-guftar kahan se aai lab-ba-lab khwahish-e-izhaar kahan se aai kis hina-hath se aangan hai moattar itna waqt-e-khush saat-e-bedar kahan se aai han ye mumkin hai naya mod ho phulon jaisa phir ye pazeb ki jhankar kahan se aai khun mein nashsha-e-izhaar ka khanjar paiwast darmiyan chup ki ye talwar kahan se aai hum kharabe ke musafir hain hamare dil mein aarzu-e-dar-o-diwar kahan se aai sochta hun ki khush-andaz dilon mein ai 'raaz' shorish-e-khu-e-dil-azar kahan se aai