sochna aata hai danai mujhe aati nahin bona aata hai gul-arai mujhe aati nahin sar uthata hun to ta-hadd-e-nazar pani hai dubna chahun to gahrai mujhe aati nahin hansta hun khelta hun chikhta hun rota hun apne kirdar mein yak-jai mujhe aati nahin roz-marra mein lapeti hui bosida-faza apne atraf se ubkai mujhe aati nahin raunaqon mein bhi alag ho ke raha hun aksar band kamre mein bhi tanhai mujhe aati nahin lashkar aaya tha magar qafile ki surat hun kisi bhi shakl mein paspai mujhe aati nahin