kis ko batate kis se chhupate suragh-e-dil chup sadh li hai zakhm dikhaya na dagh-e-dil kaise karen bayan gham-e-jaan ki dastan ai kash gul khilae hamara ye bagh-e-dil guzre hamari zist ke ayyam is tarah labrez aansuon se hai goya ayagh-e-dil jab rakh ban gae to kaha ye harif ne jal jal ke wo jalate rahe hain charagh-e-dil jis se mile tawil zamana guzar gaya shayad usi ke zehn mein ho kuchh suragh-e-dil chahat ki ab to koi bhi hasrat nahin rahi sarsabz us ki yaad se phir bhi hai bagh-e-dil rakhti nahin 'sabila' kabhi aib par nazar masruf pyar mein raha is ka faragh-e-dil