socho to kuchh na samjho samjho to kuchh na bolo phir chup ka husn dekho bekar lab na kholo nauha-kunan hawao shola-ba-jaan fazao dekho wo ja raha hai ji bhar ke us ko ro lo dale rahen basere khwabon bhare andhere mahlon ki aas rakkho kutiya ke pat na kholo kaunde lapak rahe hain jazbe chamak rahe hain sadiyan bilak rahi hain lamhon ko yun na rolo har fasla bada hai har marhala kada hai suraj agar hai pichhe sae ke sath ho lo gul hun bikhar na jaun pal hun guzar na jaun takmil kar lo apni aaghosh mein samo lo duniya faqat guman hai sab kuchh darun-e-jaan hai jago zarur 'khalid' aankhen magar na kholo