tabir is ki kya hai dhuan dekhta hun main ek dariya kuchh dinon se rawan dekhta hun main ab ke bhi raegan gain sahra-nawardiyan phir teri rahguzar ke nishan dekhta hun main ye sach hai ek jast mein hai fasla tamam lekin udhar bhi shahr-e-guman dekhta hun main hai raushni hi raushni manzar nahin koi suraj latak rahe hain jahan dekhta hun main aaya jo is hisar mein nikla na phir kabhi kuchh dubte ubharte makan dekhta hun main khaegi ab ke bar bhi aashuftagi fareb said-e-tilism-e-shola-rukhan dekhta hun main