sochon mein lahu uchhaalte hain hum apni tahon mein jhankte hain duniya ki hazar nematon mein hum ek tujhi ko jaante hain aankhon se dukhon ke rang aakhir saras ki udan ud gae hain sawan ki tarah hamein bhigo kar baadal ki tarah guzar gae hain yun bhi hai ki pyar ke nashe mein kuchh soch ke log ro pade hain wo dukh to khushi ke bab mein the ye dukh jo tulu ho rahe hain jo kuchh bhi hai dil ke aaine mein sab teri nazar ke zawiye hain bahte hue do badan samundar honton ke kinare aa mile hain kuchh bhi to nahin hai pas 'khawar' bas ek ana hai rat-jage hain