sochta hun khaDa kinare par

sochta hun khada kinare par
chand par jaun ya sitare par

mujh se aage nikal gae mere log
mujh ko rukna pada ishaare par

ai bhanwar sirf ye khayal rahe
ek naw hai tere dhaare par

hum ne tufan ka rasta roka
kat dale gae hamare par

bhuk hai bhik se nahin mitegi
matha teko na us duware par

khasta diwar teri umr daraaz
main chala tha tere sahaare par

ek mohabbat pe ek mohabbat ki
ek khasara kiya khasare par

naqd-e-jaan jaisi besh-qimat shai
hum lutate rahe udhaare par

ek jhonka hawa ka aa nikla
hum ne zulfon ke bal sanware par

kaisi basti basai hai tum ne
koi sunta nahin pukare par

koi taswir ban nahin pai
hum ne kaghaz pe rang utare par

bol sakta hai sun nahin sakta
khak ho aise mitti-gare par

ai khuda kitna be-niyaz hai tu
aadmi tujh pe jaan ware par

aise sach pe hazar tohmat ho
jis ne gardan katai aare par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close