sochta hun ki dil-e-zar ka matlab kya hai

sochta hun ki dil-e-zar ka matlab kya hai
ek hanste hue bimar ka matlab kya hai

aap kahte hain ki diwar gira di jae
aap ki nazron mein diwar ka matlab kya hai

aakhiri faisla tum apne mutabiq loge
phir meri hami ya inkar ka matlab kya hai

sang-dil logon se kya apni tabiat kahte
kisi diwar se guftar ka matlab kya hai

uth ke ja sakte hain hum aison ke sae se aap
hum samajhte hain ki ashjar ka matlab kya hai

pahle pahle to faqat zabt ke imkan rahe
rafta rafta khula izhaar ka matlab kya hai

main ki chup zat tha so sher kaha karta tha
puchh leti thi wo ashaar ka matlab kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close