soe huon mein khwab se bedar kaun hai is aalam-e-khayal mein hushiyar kaun hai mat puchh us ka talib-e-didar kaun hai ye dekh mohr-bar-lab-e-guftar kaun hai utra hai chand sine mein ya khud hi jal uthe tarikiyon mein dil ki ziya-bar kaun hai arz-e-hunar mein koh-e-wafa par ho tesha-zan de jaan nazr-e-shoala-e-izhaar kaun hai jo fan-taraaziyan qad-o-gesu ki bhanp le jo jaanch le qayamat-e-raftar kaun hai sab apne apne dar-o-rasan sath le chalo puchhenge wo ki tum mein wafadar kaun hai kuchh log apne khun mein naha kar chale gae ab surkh-ru-e-arsa-e-paikar kaun hai do-gam dil ki rah pe chalna muhaal hai ab aur aisi wadi-e-pur-khar kaun hai patthar se aag aag se jo lae ju-e-shir tum mein wo tesha-dar-e-fusun-kar kaun hai shayad koi patakta hai sar chal ke dekhiye 'baqar' hai qais hai pas-e-diwar kaun hai