soe pani ke tale dube hue paikar likhen aaina-khane mein guzri saaton ke ghar likhen aankh ki putli mein thahri khwahishon ke rang se jo na ho mahsus aisi baat chehre par likhen dastaken deti hai kachche jism par mauj-e-saba waqt ke aab-e-rawan pe aks ke paikar likhen bhige honton par hawa ke garm bose sabt hain sard kamre mein lahu ke daudte lashkar likhen khwahishon ke chand ka lamba safar tai ho gaya ab akele-pan ke maidan mein ghire mandar likhen mutthiyan kholin pasine ke siwa kuchh bhi nahin umr se badh kar purani baat phir kyun-kar likhen jism ke qisse to ab 'ahmad' purane ho gae ab koi taza riwayat dil ke patthar par likhen