hayat ki be-rukhi nai hai na apni kam-maegi nai hai phir aaj jazbaat-e-gham ki maujon mein kaisi ye bekali nai hai na jaane harf-e-talab hai nadim ki be-zabani zaban hai apni dhadak raha hai dil-e-tamanna ki manzil-e-ashiqi nai hai wahi hai jada wahi safar hai wahi hai manzar wahi nazar hai magar ba-andaz-e-ashnai hamari waraftagi nai hai zawal-e-hasti ke nauha-khwan the koi hamari zaban na samjha bujhe hain sinon mein dil sabhi ke ki apni aashuftagi nai hai jo harf dil par raqam kiye the wo le uden yas ki hawaen ab is bayaban-e-arzu mein hamari bechaargi nai hai na koi dard-ashna na hamdam na koi soz-e-darun ka mahram hamein yahan ajnabi hain jaane ki sari duniya nai nai hai main naqd-e-jaan tak luta chuki thi nafas mein shoale jala chuki thi tilism-e-khwab ab kahan se aaya ye manzil-e-be-khudi nai hai