sohbat-e-shab ka talabgar na hoga koi khauf itna hai ki bedar na hoga koi dhup har samt se nikli to kahan jaoge dasht mein saya-e-diwar na hoga koi harf-e-ehsas bhi jal jaega honton ki tarah muddaa qabil-e-izhaar na hoga koi main ki parwarda-e-sahra hun bikunga kaise dekh lena ki kharidar na hoga koi kuchh to hai jis ki tapish zer-o-zabar karti hai yunhi ruswa sar-e-bazar na hoga koi sare aalam ko tajassus hai nai samton ka kaise 'ghaalib' ka taraf-dar na hoga koi kis ko ye ahd-e-junun saunp ke jaun 'nami' jaanta hun ki saza-war na hoga koi