wo yun mila ki ba-zahir khafa khafa sa laga na jaane kyun wo mujhe phir bhi ba-wafa sa laga mizaj us ne na puchha magar salam liya ye be-rukhi ka saliqa bhi kuchh bhala sa laga ghubar-e-waqt ne kuchh yun badal diye chehre khud apna shahr bhi mujh ko naya naya sa laga ghuti ghuti si lagi raat anjuman ki faza charagh jo bhi jala kuchh bujha bujha sa laga jo hum pe guzri hai shayad sabhi pe guzri ho fasana jo bhi suna kuchh suna suna sa laga majal-e-arz-e-tamanna kare koi kaise jo lafz honton pe aaya dara dara sa laga main ghar se chal ke akela yahan tak aaya hun jo ham-safar bhi mila kuchh thaka thaka sa laga isi ka nam hai shaistagi o pas-e-wafa palak tak aa ke jo aansu thama thama sa laga kuchh is khulus se us ne kaha mujhe 'iqbaal' khud apna nam bhi mujh ko bada bada sa laga