sone walon ko koi khwab dikhane se raha main tah-e-khak to ab khak udane se raha koi darwaza na hail koi dahliz rahi ishq sahra mein raha aur thikane se raha dub jaen to kinare pe pahunch sakte hain ab samundar to hamein par lagane se raha un diyon hi se kisi taur guzara kar lo ab main kamre mein sitaron ko to lane se raha apne hathon hi shikar apna main kar lun na 'munir' aur kuchh der agar dur nishane se raha