ishq ki dastaras mein kuchh bhi nahin jaan-e-man! mere bas mein kuchh bhi nahin ek teri yaad ka tasalsul hai aur tar-e-nafas mein kuchh bhi nahin raazdar-e-bahaar-e-rafta na ho yun to is khar-o-khas mein kuchh bhi nahin parwarish pa raha hai nakhl-e-ziyan nafa kya is baras mein kuchh bhi nahin aakhir-e-kar haarne ke siwa ikhtiyar-e-hawas mein kuchh bhi nahin ishq par ikhtiyar hai kis ka faeda pesh-o-pas mein kuchh bhi nahin kis liye chal pada hun mein 'sajid' jab sada-e-jaras mein kuchh bhi nahin