soz-e-darun ko aankh se bahar nikal kar har shakh rakh rahi hai gul-e-tar nikal kar lae husain aakhiri lashkar nikal kar kheme se tishna-lab ali asghar nikal kar thode hi din hai shakh-e-shajar par ye naghmagi ud jaenge ye log nae par nikal kar ahl-e-nazar ke samne rakhta hun dekh len laya hun musht-e-khak se gauhar nikal kar yun bhi ho mujh ko chashm-e-fana dhundhti phire rakh dun main ruh-e-jism se bahar nikal kar is dastan mein aur to kuchh bhi naya nahin us ke bichhadte waqt ka manzar nikal kar karta hun sajda aap main apne jamal ko patthar se ek khayal ka paikar nikal kar ab shairi mein aur kisi ko bhi den jagah majzub-o-mast-o-faqr-o-qalandar nikal kar shahron ki bud-o-bash ne wahshi kiya use phirta hai qais hath mein khanjar nikal kar