soz-e-dil har shab hamein apna hi batlati hai shama dil ka jalna hum dikhate hain to jal jati hai shama ye dhuan nin dard se bharti hai aahen jaan-gudaz kis nazakat sat ek ek ashk tapkati hai shama sar-site panw talak gharq-e-araq be-wajh nin be-hijab us shola-ru ko dekh sharmati hai shama shola-ru ke dekhne ki yan talak mushtaq hai panw tak sar se laga kar aankh ban jati hai shama 'ishq' parwane ke matam mein wo apne baal khol soz-e-dil se aah kya rone mein bhar jati hai shama