surat ka apni yar parastar tha so hai aaina dil us ko jo darkar tha so hai ye dil hai tegh-e-abru-e-khamdar ka shahid is ka gawah dida-e-khamdar tha so hai malik hai mere dil ka khuda tujh se ai sanam paiwasta bandagi ka jo iqrar tha so hai zahir mein garche kufr se munkir hua hai shaikh poshida us ki subha mein zunnar tha so hai tujh khat ki yaad mein dil-e-hairan-e-ishq ka durr-e-najaf ki tarah se mudar tha so hai