soz-e-dil se pur-nam ho gai ab to ye aatish bhi shabnam ho gai jab tabiat khugar-e-gham ho gai rafta rafta har khalish kam ho gai zakhm dil ke ho chuke the la-ilaj ek nigah-e-lutf marham ho gai hai mohabbat ka ye mearaj-e-kamal zindagi khud tishna-e-gham ho gai kar chuke hain un se hum ahd-o-wafa aur ye zanjir mohkam ho gai gham pe tha sara madar-e-zindagi gham hua kam to khushi kam ho gai wo sitam kar ke pasheman jab hue sharm se gardan meri kham ho gai dekhna mere tasawwur ka kamal aarzu-e-dil mujassam ho gai der tak milte rahe qalb-o-nazar guftugu kuchh aaj baham ho gai chhed dena ho gaya 'shankar' sitam zulf un ki aur barham ho gai