usko dekha tha faqat do-chaar lamhon ke liye

us ko dekha tha faqat do-chaar lamhon ke liye
ho gae tanha jahan mein kitni sadiyon ke liye

raat ka pichhla pahar mujh ko bashaarat de gaya
aa rahi hai raushni tarik galiyon ke liye

koi si rut ho sada paya hai un ko sogwar
mausamon ka qahr hai masum patton ke liye

ab koi chehra koi manzar hamein rokega kya
uth chuke apne qadam pur-pech raston ke liye

ek gul hai tujh ko pyara ek gul mujh ko aziz
kitne pagal ho gae hum log rangon ke liye

jin ka saya maon ki aaghosh se kuchh kam na tha
qatl ke ahkaam hain ab un darakhton ke liye

ab nae pahlu se dekha chahiye bahar ka rang
muntakhab kije nai jaghen darichon ke liye

zat ke tarik ghaaron mein dariche kholiye
rasta koi to ho suraj ki kirnon ke liye

kijiye 'betab' raushan apni palkon par diye
raushni darkar hai be-nur kamron ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close