sozish dil se muft galte hain dagh jaise charagh julte hain is tarah dil gaya ki ab tak hum baithe rote hain hath milte hain bhari aati hain aaj yun aankhen jaise dariya kahin ubalte hain dam-e-akhir hai baith ja mat ja sabr kar tak ki hum bhi chalte hain tere be-khud jo hain so kiya chiten aise dube kahin uchhalte hain fitna dar-sar-e-hashr-e-khiram hae re kis thasak se chalte hain nazar uthti nahin ki jab khuban sote se uth ke aankh milte hain is sar-e-zulf ka khayal na chhod sanp ke sar hi yan kuchalte hain the jo aghyar sang sine ke ab to kuchh hum ko dekh talte hain shama-ru mom ke bane hain magar garm tak maliye to pighalte hain 'mir'-sahib ko dekhiye jo bane ab bahut ghar se kam nikalte hain