subh-e-ishrat zindagi ki sham ho kar rah gai hasrat-e-dil maut ka paigham ho kar rah gai tum ne duniya ko luta den neamaten achchha kiya meri duniya bas tumhaara nam ho kar rah gai jis sahar ki hum ne mangi thi asiri mein dua wo sahar aai to lekin sham ho kar rah gai ai mohabbat ke khuda ai ishq ke parwardigar har tamanna ab khayal-e-kham ho kar rah gai khauf-e-ruswai ne mujh ko aah bhi bharne na di lab tak aai bhi to un ka nam ho kar rah gai dekh kar un ko meri aankhon mein bhar aae the ashk baat hi kya thi magar wo aam ho kar rah gai ahl-e-mahfil dekhte hi 'saif' be-khud ho gae har ada saqi ki sharh-e-jam ho kar rah gai