kahan ye os nahin aaftab ki zad mein zamana aaj bhi hai inqalab ki zad mein zuhur-e-zawiya-e-qaima se hai sabit ye kaenat hai ilm-ul-hisab ki zad mein agarche un ki tasalli mein hai yaqin shamil dil-e-hazin hai magar iztirab ki zad mein main apne nala-e-be-ikhtiyar ke qurban jo naghma ban ke na aaya rabab ki zad mein wo dasht jis mein ki dahshat hai be-karan 'saib' wo dasht hai dil-e-wahshat-maab ki zad mein