subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri mujh se rah rah ke lipat jati hai turbat mein ranj deta hai maza wo hai tabiat meri chain likhti hai mere waste qismat meri aa ke thukra gae kis naz se turbat meri na khuli aankh meri hae ri ghaflat meri koi aata hai kahin aise siyah-khane mein mere ghar ka hai ujala shab-e-furqat meri sadqe ai tamkanat-e-naz dikha de mujh ko hae wo aankh na ho jis mein murawwat meri kya nidar ho ke shab-e-wasl wo aa baithe hain jaante hain ki bacha legi nazakat meri jitne dil khak hue roz-e-azal se ab tak aaj un sab ka nishan deti hai turbat meri mai-o-mashuq nahin aap mein rahne dete baad-e-tauba bhi badal jati hai niyyat meri is tarah hashr mein aaya hun lahad se uth kar ki farishte nahin pahchante surat meri hashr mein pesh-e-nazar honge butan-e-kafir mujhe dar hai na bigad jae tabiat meri dhoke deti hai buri tarah ye logon ko 'riyaz' milti-julti hai bahut khizr se surat meri