phir wahi mausam-e-judai hai phir mujhe apni yaad aai hai phir padha main ne tera pahla khat phir se tujh tak meri rasai hai phul sa phir mahak raha hun main phir hatheli mein wo kalai hai pahle bose ki nim-garm aahat phir rag-e-jaan mein rat-jagai hai phir hari hai tamam tanhai phir se pani ko sabz-pai hai phir mera hai tamam sannata phir meri baz-gasht chhai hai phir zamana meri giraft mein hai phir mujhe wahm-e-kibriyai hai phir tujhe chhu ke dekhta hun main phir se qindil si jalai hai phir tasawwur mein tere lab aae meri har baat phir hinai hai dher hai phir se khak ki diwar phir mujhe zauq-e-runumai hai phir wahi mein naya naya sa hun phir zamin se meri rihai hai