subh-e-nau hum to tere sath numayan honge aur honge jo halak-e-shab-e-hijran honge sadma-e-zist ke shikwe na kar ai jaan-e-'rais' ba-khuda ye na tere dard ka darman honge meri wahshat mein abhi aur taraqqi hogi tere gesu to abhi aur pareshan honge aazmaega bahar-haal hamein jabr-e-hayat hum abhi aur asir-e-gham-e-dauran honge aashiqi aur marahil se abhi guzregi imtihan aur mohabbat ke meri jaan honge qalb-e-pakiza-nihad o dil-e-safi de kar aaina hum ko banaya hai to hairan honge sadqa-e-tirgi-e-shab se gila-sanj na ho ki nae chand isi shab se firozan honge aaj hai jabr-o-tashaddud ki hukumat hum par kal hamin bekh-kun-e-qaisar-o-khaqan honge wo ki auham o khurafat ke hain said-e-zabun aakhir is dam-e-ghulami se gurezan honge sirf tarikh ki raftar badal jaegi nai tarikh ke waris yahi insan honge