umr lambi to hai magar baba sare manzar hain aankh bhar baba zindagi jaan ka zarar baba kaise hogi guzar-basar baba aur aahista se guzar baba samne hai abhi safar baba tum bhi kab ka fasana le baithe ab wo diwar hai na dar baba bhule-bisre zamane yaad aae jaane kyun tum ko dekh kar baba han haweli thi ek suna hai yahan ab to baqi hain bas khandar baba raat ki aankh dabdaba aai dastan kar na mukhtasar baba har taraf samt hi ka sahra hai bhag kar jaenge kidhar baba us ko salon se napna kaisa wo to hai sirf sans bhar baba ho gai raat apne ghar jao kyun bhatakte ho dar-ba-dar baba rasta ye kahin nahin jata aa gae tum idhar kidhar baba