subh-e-sadiq ka abhi jadu nikhar paya na tha taeron ne naghma-e-hamd-o-sana gaya na tha nikhaton ka shokh naghma raqs mein aaya na tha nuqrai kirnon ne apna jal phailaya na tha thi mizaj-e-zindagi mein ek tajassus ki thakan dur tak bhi manzilon ka kuchh nishan paya na tha dhadkanen hi le rahi thin dhadkanon ka jaeza qurbaton ne khush-nawa naghma abhi gaya na tha kuchh guman thi kuchh yaqin thi shorish-e-hasti yahan ye wo qissa tha jise koi samajh paya na tha qurbaton mein jhank kar dekha kiye tha barha duri-e-dil ke siwa kuchh bhi nazar aaya na tha wo ada-e-dil-nashin jo soch ki jhankar thi is ada ne dard ka naghma abhi gaya na tha tere hi faiz-o-karam se malik-e-kaun-o-makan umr bhar ye dil kisi aalam mein ghabraya na tha qurbaton ke hadson ne bakhsh di thin raunaqen aashna na-ashna koi nazar aaya na tha