wo lamha bhi bit gaya

wo lamha bhi bit gaya
hasil tha jo sadiyon ka

be-hangam aawazon ka
jalsa nafi nafi sa tha

nagin sa bal khata tha
joban kali raaton ka

jati rut ka nashsha tha
kuchh shoala kuchh shabnam sa

jaane kab mahfuz hua
pahla dard mohabbat ka

dhadkan dhadkan rup khula
sharmili pahchanon ka

kanchan kanchan pighla sa
rang rup ka nikhra tha

raat raat bhar jaga tha
dawa shokh faqiri ka

shusta sa shaista sa
bosa shokh taqaddus ka

antarman ki sochon ka
jhanan jhanan andaz naya

jaane kaisi saat mein
pahla aansu tapka tha

ghaza tha ek chehron par
naqli si muskanon ka

chahat ki angdai ko
mausam ne bhi napa tha

qatil se ek lamhe ne
pichhe mud kar dekha tha

dariya dariya ghumi thi
chanchal si be-ab hawa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close