subh-e-tarab to mast-o-ghazal-khwan guzar gai sham-e-alam jo aai to aa kar thahar gai dekha kisi ne auj-e-tasawwur na auj-e-fan pinhan tha dagh-e-aib to sab ki nazar gai yaad-e-khuda se bab-e-haram tak khula nahin yaad-e-butan se dil pe qayamat guzar gai tadpa qafas mein kaun jo ai subh-e-nau-bahaar ru-e-gul-o-giyah saba chashm-tar gai itna dil-e-'naim' ko viran na kar hijaz roegi mauj-e-gang jo us tak khabar gai