ummid o yas ne kya kya na gul khilae hain hum aabshaar ke badle sarab lae hain hawa hai garm udasi ka zard manzar hai sabhi darakht hari konplen chhupae hain kate hain panw to hathon ke bal chale uth kar misal-e-mauj tere ham-kanar aae hain jahan dikhai na deta tha ek tila bhi wahan se log utha kar pahad lae hain na ek bund inayat na phul bhar khushbu ye kis dayar ke baadal qafas pe chhae hain kise hunar ka sila chahiye magar kuchh log kahan kahan se na patthar utha ke lae hain azal se hum ko 'hasan' intizar-e-sabza hai jale hain bagh to paude nae lagae hain