subh-e-visal-e-zist ka naqsha badal gaya murgh-e-sahar ke bolte hi dam nikal gaya daman pe lotne lage gir gir ke tifl-e-ashk roe firaq mein to dil apna bahal gaya dushman bhi gar mare to khushi ka nahin mahal koi jahan se aaj gaya koi kal gaya surat rahi na shakl na ghamza na wo ada kya dekhen ab tujhe ki wo naqsha badal gaya qasid ko us ne qatl kiya purze kar ke khat munh se jo us ke nam hamara nikal gaya mil jao gar to phir wahi baham hon sohbaten kuchh tum badal gae ho na kuchh main badal gaya mujh diljale ki nabz jo dekhi tabib ne kahne laga ki aah mera hath jal gaya jita raha uthane ko sadme firaq ke dam wasl mein tera na 'amanat' nikal gaya