subh ka afsana kah kar sham se khelta hun gardish-e-ayyam se un ki yaad un ki tamanna un ka gham kat rahi hai zindagi aaram se ishq mein aaengi wo bhi saaten kaam niklega dil-e-nakaam se lakh main diwana-e-ruswa sahi phir bhi ek nisbat hai tere nam se subh-e-gulshan dekhiye kya gul khilae kuchh hawa badli hui hai sham se hae mera matam-e-tishna-labi shisha mil kar ro raha hai jam se be-khudi par shayad us ka bas nahin josh aa jata hai un ke nam se har-nafas mahsus hota hai 'shakil' aa rahe hain nama-o-paigham se