subh ka bhed mila kya hum ko lag gaya raat ka dhadka hum ko shauq-e-nazzara ka parda uththa nazar aane lagi duniya hum ko kashtiyan tut gai hain sari ab liye phirta hai dariya hum ko bhid mein kho gae aakhir hum bhi na mila jab koi rasta hum ko talkhi-e-gham ka mudawa malum pad gaya zahr ka chaska hum ko tere gham se to sukun milta hai apne shoalon ne jalaya hum ko ghar ko yun dekh rahe hain jaise aaj hi ghar nazar aaya hum ko hum ki shoala bhi hain aur shabnam bhi tu ne kis rang mein dekha hum ko jalwa-e-lala-o-gul hai diwar kabhi milte sar-e-sahra hum ko le udi dil ko nasim-e-sahari bu-e-gul kar gai tanha hum ko sair-e-gulshan ne kiya aawara lag gaya rog saba ka hum ko yaad aai hain barahana shakhen tham le ai gul-e-taza hum ko le gaya sath uda kar 'baqi' ek sukha hua patta hum ko