chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho ho gai kaisi siyah-khanon ki rangat dekho samne jo hai use aankh ka dhoka samjho in dayaron ko sada khwab ki surat dekho sair hai jaise koi, aise jahan se guzro dur tak phaila hai ek arsa-e-furqat dekho zar ki parchhain jo padti hai chamak uthta hai aadam-e-khak ki be-hoshi mein haalat dekho khauf deta hai yahan abr mein tanha hona shahr-e-dar-band mein diwaron ki kasrat dekho saya hai un pe bahut bhuli hui yaadon ka sham aai hai pari-zadon mein wahshat dekho dagh hai is ke na hone se dilon mein ab tak ud gaya misl-e-saba gul ki haqiqat dekho jangalon mein koi pichhe se bulae to 'munir' mud ke raste mein kabhi us ki taraf mat dekho