subh ka dhoka hua hai sham par

subh ka dhoka hua hai sham par
chand ko dekha achanak baam par

juz mere suraj parinde aadmi
sab nikal jate hain apne kaam par

baryabi ke liye jaen magar
dil thithak jata hai pahle gam par

par lage khushbu ko tere zikr se
muskurae phul tere nam par

be-zarurat ghar se niklen aur phir
shai khariden koi mahnge dam par

khamushi achchhi hai lekin is qadar
kuchh to bolen aap is kohram par

ai junun ye ji mein aata hai kabhi
waqf kar den khud ko tere nam par

aankh mein 'faruq' aansu aa gae
kya fasana aa gaya anjam par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close