ungli figar koi na khun mein qalam hua kab hum se apne dard ka qissa raqam hua roe tamam umr magar is hunar ke sath aansu palak pe aaya na kaghaz hi nam hua ghar chhod aae aap bhi achchha kiya huzur ye to junun ki rah mein pahla qadam hua rah rah ke sar uthati rahin kitni khwahishen in baghiyon mein sar bhi kisi ka qalam hua dekha tha khud ko main ne tujhe dekhne ke baad ye to gunah mujh se khuda ki qasam hua hai tarz-e-guftugu bhi wahi dost bhi wahi dushman to meri jaan ka mera bharam hua 'faruq' ab kisi se shikayat karen to kya hum ko hi apne hone ka ehsas kam hua