subh ki pahli kiran pahli nazar se pahle hum ko hona hai kahin aur sahar se pahle chand ne dekh liya hum ko kanar-e-dariya bhag chalte hain kisi aur khabar se pahle lau lagane se gai dar-badari ki zillat khud ko pahuncha hua lagta hun safar se pahle kyun na duniya ko dikhaun main jale hath ka zakhm kuchh charaghon se talluq tha udhar se pahle ek hatheli hai meri ek hatheli us ki sab duaen hain asar-yab asar se pahle sham ke baad andhera nahin rahta ghar mein ek suraj nikal aata hai sahar se pahle tab meri aankh khula karti thi andar ki taraf main ne dekha hai use pahli nazar se pahle tu faqat sina-o-dil hai na faqat aariz-o-lab sukhan aaghaz kare koi kidhar se pahle