jalwa-e-jaan-faza dikhata rah dil-e-be-jaan kun jalata rah dil hamara gharib-khana hai gah gah is taraf bhi aata rah khushk hote hain dam-ba-dam lab-e-zakhm aab shamshir ka pilata rah ishq aata hai fauj-e-gham le kar tujh kun kahta hun hosh, jata rah taki khush howe gul-badan bulbul akasr apni ghazal sunata rah mansab-e-ishq hai agar tujh kun naubat-e-ah kun bajata rah shama-ru sin 'siraj' ja kar bol ki patingon kun mat jalata rah