subh ko hai agar to sham nahin zindagi ka koi qiyam nahin jama karti hun daulat-e-duniya kya mera ye khayal-e-kham nahin ahl-e-duniya se dur rahti hun aarzu-e-numud-o-nam nahin hum ne ek ek ko aazma dekha doston mein wafa ka nam nahin jis se uqba meri sanwar jati zindagi mein hua wo kaam nahin ja-e-ibrat hai ye jahan 'nazar' dil lagane ka ye maqam nahin