sawan ki bhigi bhigi har ek raat bhi gai dil mein laga ke aag ye barsat bhi gai ye duriyan to apna muqaddar hi thin magar thodi bahut jo thi wo mulaqat bhi gai aankhon mein kitne khwab sanjoe the raat bhar arman ka khun kar ke hasin raat bhi gai milte bhi hain to jaise talluq hi kuchh na ho ab to wo rasm-e-pursish-e-haalat bhi gai ab ai 'nazar' hai hadd-e-nazar tak ghubar-e-rah wo karwan-e-zist ki baraat bhi gai