subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main raat hote hi unhi galiyon mein kho jata hun main khwab mein gum hun ki bahar ki faza achchhi nahin aankh khulte hi kahin zanjir ho jata hun main khinch lati hai usi kuche mein phir aawargi roz jis kuche se apne shahr ko jata hun main is andhere mein charagh-e-khwab ki khwahish nahin ye bhi kya kam hai ki thodi der so jata hun main raat lati hai kisi ke qurb ki khwahish magar subh hote hi kisi se dur ho jata hun main ji mein aata hai ki duniya ko badalna chahiye aur apne aap se mayus ho jata hun main bare bagh-e-sehn-e-duniya mein bahut din rah liya khush raho ab is gali se dosto jata hun main